https://mobile.facebook.com/profile.php?id=236627703377923

Monday, 23 May 2016

Mobile Se Free Calling Kaise Kare Tricks

Mobile Se Free Calling Kaise Kare. Aaj kal Mobile mein internet dwara aap bahut se kam kar rahe hain.
Jaise online shopping karna, online kitaben padhna, mail karna, gaane download karna, puri film download karna, ek doosre ko gift aadi bhejana aur bhi anek baaten. Aaj mobile aur internet bahut hi suvidha ke sadhan ban gaye hain. Par ab to app apne mobile ke internet dwara free calling bhi kar sakte hain. Jee haan yeh sach hai aur isamy apke phone call balance ka ek paisa bhi nahin lagega aur aap aasani se apne friend ya kisi bhi vyakti jisse app baat karna chahte hain ussay baat kar lenge. To aayiye jaane ki mobile se free calling kaise ki jaa sakti hai. Padhiye 

Internet ke dwara free call

Agar aapke mobile mein internet suvidha hai to aap us interent ki madad se free call kar sakte hain. Free call karane wali kuch websites hain jaise www.call2friends.com  tathawww.levaphone.com. Free call karne ke liye inmay se kisi ek website par jaayen. Website open karne par aapke samne ek mobile jaisi screen aayegi. Is srceen mein aap wo numbe daalen jise aap call karna chahte hain. Agar call bharat mein karna hai to us number ke aage 91 laga den jo ki bharat ka code hai. Is number ko dial karte hi website apka call us number par pahuncha degi. Aap free caal kar lenge. Par in website se har din sirf ek call 2 minute ke liye hi ki jaa sakti hai. Janiye Free Website Kaise Banay

Skype app ke dwara free calling

Sabse pehle internet ke dwara skype ko download kar len. Ab skype mein apna ek account bana len. Aap facebook ke dwara bh skype mein sign in kar sakte hain. Ab skype ke dial paid ko open karen aur usmay woh mobile ya landline number likhen jisse aap baat karna chahte hain. Uskay baad apka mobile skype ke dwara aap ko us number se baat karwayega. Padhe 

Localads.rediff.com ki website dwara


Is suvidha ke dwara bhi aap pure bharat mein kahin bhi phone kar sakte hain. Iskay liye aap apne mobile me website http://localads.rediff.com/ kholiye. Ismay ek Post Ad naam ka button hoga. Is par aap click kijiye. Ab yeh website apko ad post karne ke liye ek online form bharne ko kahegi. Aap apna form bharkar koi ad post kar dijiye. Iskay baad 1 ghante intezaar karen. 1 ghante baad wapas usi websit par jaayen aur apna ad click karen. Ab aap apna ad kholen aur who number likhen jis se aap baat karna chah rahe hain. Iskay baad aap Talk now naam ke button par click kar den. Ab rediff local ki aur se app jis number par baat karna chahte hain aur aapke numebe par ek hi samay mein phone aayega aur aap dono ke phone connect ho jaayenge. Dono ka phone 1 minute 30 second ke liye hoga. Yani aap dono 1 minute aur 30 second ke liye aapas mein baat kar sakte hain. Is prakriya ko aap kitni bhi baar kar sakte hain. Jane .

Whatsapp se free call karne ke liye

whtsapp ne bhi free phone calling ki suvidha di hai. Yeh suvidha saare smart phone par hai jowhtsapp ke latest version ko download karne par milti hai. Iskay liye whats app ka latest version playstor se download karke usay install kijiye. Iskay baad whatsapp aapse aapka number poochega. Aap apna mobile numeber likhen aur uskay pehle India ka code bhi likhen. Ab ok button dabayen aur whatsapp ki ek window screen prapt hogi. Usmay Chats aur contacts ke sath ek aur button bhi hoga jis par Calls likha hoga. Issay aap free call kar sakte hain. Iskay liye sabse pehle contacts par jaayen aur jis se free call karna hai uska number daalen. Number likhne ke baad aap phone ke icon par click karen. Aisa karne se wahtsapp dwara aap jis number se baat karna chahte hain us par call jayega aur aap whatsapp ki sahayata se free call kar sakenge. Padhiye 

Doosre App ke dwara free calling

Inke atirikt Woh app jo free calling ki suvidha dete hain takatone, tango, wechat, wephone, whatsapp, wetalkpro, imo video call, viber, wicall, voxox, hangouts, skype hain.
 Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.
facebook par jyada like kaisae badaye sikho click now

No comments:

Post a Comment

http://sikhoorsikhao.blogspot.in/?m=1