ho. Aaiye jane Mobile Repair Kaise Kare Samasya Aur Samadhaan. Mobile Repair Kaise Kare
Band mobile ki kharabi band mobile ki kharabi ki pehchaan kaise kare?
Mobile Repair Kaise Kare.
- Band pade mobile me full charge battery lagaye.
- Mobile ko switch on kare.
- Jitni baar switch on karna chahte hai kare.
- Yadi mobile kai koshishon ke bavjud on nahi hota hai to ab mobile set ko khole.
Band (dead) mobile ki khrabi ka solution. Mobile Repair Kaise Kare?
(check kare mobile pcb plate shot hai ya dead )
- Sabse pehle multimetter se check kare ki mobile pcb plate shot hai ya nahi.
- Multimeter ko bajar mod par rakho aur bettery connector ke + aur – point ko check karo.
- Agar beep bajti hai to mobile pcb plate shot hai.
Yadi mobile pcb plate shot nahi hai to is kharabi ab is prakar se aage step baayi step theek kare.
Battery connector ke point ko multimeter se check kare pcb plate se sahi juda hai ki nahi.
- Battery ka volt check kare, 3.7 volt se kam ho to battery ko full charge kare aur fir lagaaye.
- Kisi chalu mobile ki battery ko lagataar check kar le.
- Battery aur battery connector ke point ko scratch aur saaf kare.
- Battery connector naya lagaaye.
- Mobile pcb plate ko acchi tarah se wash kare.
- Mobile ko charging me lagao aur dekho battery charge ho rahi hai ya nahi.
- Agar charging ho raha hai icon screen par pradarshit hota hai lekin mobile on nahi ho paata hai to.
- On-off switch par 2 se 3.5 volt nahi aa rahe hai to battery ke + point se judi coil check karo.
- On -off switch ko scratch aur saaf karo. Kharab ho to change karo.
- On/off switch ke pass lage resistance aur On/off switch ke track ko check kare. Track ka connection tuta hua hai to jumper kare.
- Uem(power) ic ke pass vaale parts ko check karo. Uem(power) ic par packing lagao.
- Yadi on/off switch par 2 se 3.5 volt ke beech me aa raha hai to mobile me naya software chadaye.
- Mobile software flash hone ke beech me error aakar ruk raha hai to kai baar koshish kare.
- Fir bhi software flash nahi ho raha hai to flash ic (memory/eprom ic) ko hit kare, uske baad fir flash kare.
- Flash ic ko revolve aur change kare aur fir flash kare.
- Ab bhi software flash nahi ho raha hai to cpu par packing lagaye.
- Software flash karne ke baad bhi mobile switch on nahi ho paata hai to power ic aur cpu par hit de.
- Power ic aur cpu par hit dene par bhi kharabi theek na ho to power ic ko reboll aur change kare.
- Uske baad bhi kharabi theek na ho to cpu ko reboll aur change kare.
Aapko ye article kaise laga niche comment me likhiye.
internet se paise kaise kamaye sikho click now
internet se paise kaise kamaye sikho click now
The handset responds that the charger is invalid and not compatible with the handset.Ink cartridges nottingham
ReplyDelete