https://mobile.facebook.com/profile.php?id=236627703377923

Tuesday 3 May 2016

Internet Ki Speed Fast Kaise Kare Tricks


Internet Ki Speed Fast Kaise Kare. Anek baar hum jab computer par work karne baidhte hain to internet ki speeed bahut slow ho jaati hai.
Is wajah se hame kafi pareshani hoti hai aur kai bar to hum anek logon se puchte hain par is samasya ka koi samadhan nahin milta hai. Kya aap bhi internet ki slow speed se pareshaan hain. Kya aap apne internet ki speeed apne internet plan ko change kiye bina badhana chahte hain. Yadi haan to aayi jaane internet speed ko slow karne wale karano ke baare mein. Internet speed kai sari baton par nirbhar karti hai. Yeh apke computer ke operating system par to nirbhar karti hi hai. Iskay saath hi apke computer mein lage network card, network cable, router, broadband modem aur doosri devices par bhi nirbhar karti hai. Aaye jaane internet speed ko badhane ke upay jinhe aazma kar aap apne internet ki speeed ko badha sakenge


Apne modem/router ko test karen

Internet speed ke slow hone ka sabse bada karan hai ki aap kharab modem istemal karte hain. Isliye agar apke internet ki speed bahut slow aa rahi hai to apne modem ko test karke dekhiye. Aap apne modem ko kisi laptop mein use karke dekh sakte hain. Yadi laptop mein bhi speed slow hai to iska matal appke modem mein problem ho sakti hai. Aap turant hi is ki jaanch karwayen.


Apne computer se virus hatayen

Internet speed slow hone ka doosra bada karan hai ki apke computer mein virus ho sakte hain. Isliye computer mein antivirus dalen. Trial ke liye aap internet se anti virus free download karen aur ussay se apne computer mein virus scan karen. Iskay baad agar aapki internet ki speeed badhati hai to apko apne computer mein anti virus purchase karke daal lena chahiye. Internet Ki Speed Fast Kaise Kare.


Apne computer ke operating system ko badaliye

Agar aap internet ki speed badhana chahte hain to apko apne operating system ko badalna hoga. Operating system internet ki speeed ko prabhavit karta hai. Yadi aap windows 98 ya 2000 jaise operating system par work kar rahe hain. To apko internet speed slow hi milegi isliye apne operating system ko Windows 2007 ya Windows XP kijiye. Internet Ki Speed Fast Kaise Kare.

Web Browser badaliye

Internet ki speed apke dwara use kiye gay web browser par bhi nirbhar karti hai. Yadi aap internet explorer web browser ke taur par use kar rahe hain to usay band kar dijiye. Internet Explorer use karke aap internet ki acchi speed nahin paa sakenge. Uski jagah app Google chrome use karen. Google chrome ek fast web browser hai jo apke internet ki speed ko fast banayega. Isay app internet se free download kar sakte hai.


Computer ka network card badaliye

Yadi aap wireless network use kar rahe hain aur apne apne computer mein wireless network card lagaya hua hai to apko internet ki speed thodi slow hogi. Isliye apna internet connection lagane se pehle hi app tay kar len ki app wire wali ethernet networking hi karnege. Khas taur par desktop mein wire wali networking hi karna chahiye. Ismay ek baar wires ko failana hota hai. Par is tarah ki networking mein problem kam hi aati hai aur internet ki speed bhi tez rehti hai.

Modem ke paas se doosre electronic device hata den

Apke computer ke paas jo modem laga hai uskay paas aisi device nahi rakhen jo electrmagnetic radiation nikalti hain. Adhiktar log apne iphone, ipad, mobile aadi modem ke paas hi rakh dete hain. Aisa bilkul nahin karen. In device ko modem se door rakhen jisse modem aur doosri device ki radiation aap mein takrakar internet ki speed lo slow nahin kar den.


Cable badaliye

Agar apke phone, modem aur ethernet ki cable purani ho chuki hai to usay badal den. Cable badal dene se internet ki speed badh jaati hai. Internet Ki Speed Fast Kaise Kare.

Computer aur modem ko restart karen

Kabhi kabhi hum bahut der tak work karte rehte hain. Zyada der tak lagatar work karne par bhi kabhi kabhi internet ki speed kam ho jaati hai. Isay badhane ke liye apne computer ko restart karen. Iskay saath hi modem ko bhi off karke on karen. Aisa karne se internet ki speed badh jaati hai.

speedtest, internet speed test, test speed, internet test, speed net, test internet. speed test, my internet speed, broadband test, internet speed checker. check my internet speed, pc speed test, internet connection speed, internet speeds .

Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.
mobile se aap kaise virus nikale yaha click kare or jane


2 comments:

http://sikhoorsikhao.blogspot.in/?m=1